ek manzil hai muKHtalif rahen
rang hain be-shumar phulon ke
Naeem Zarrar Ahmad
ishq tu bhi zara Tika le kamar
dil bhi ab so gaya hai raat gae
Naeem Zarrar Ahmad
ishq wo chaar su safar hai jahan
koi bhi rasta nahin rukta
Naeem Zarrar Ahmad
jitni aankhen thin sari meri thin
jitne manzar the sab tumhaare the
Naeem Zarrar Ahmad
man TuTe to phir nahin juDta
bad-gumani kabhi na aa ke gai
Naeem Zarrar Ahmad
main KHud ko samne tere biTha kar
KHud apne se gila karta raha hun
Naeem Zarrar Ahmad
ya husn hai na-waqif-e-pindar-e-mohabbat
ya ishq hi aasani-e-atwar mein gum hai
Naeem Zarrar Ahmad
ye jaanta hai palaT kar use nahin aana
wo apni zist ki khinchti hui kaman mein hai
Naeem Zarrar Ahmad