waqt ka silsila nahin rukta
lakh roko zara nahin rukta
ye zamin hai KHudaon ka madfan
aadam-e-kaj-ada nahin rukta
ishq wo chaar su safar hai jahan
koi bhi rasta nahin rukta
raftagan aaina dikhata hai
kuchh bhi ho irtiqa nahin rukta

Ghazal
Waqt ka silsila nahin rukta
Naeem Zarrar Ahmad