aap ki kaun si baDhi izzat
main agar bazm mein zalil hua
Momin Khan Momin
ab shor hai misal-e-judi is KHiram ko
yun kaun jaanta tha qayamat ke nam ko
Momin Khan Momin
ahr-e-ayaadat aae wo lekin qaza ke sath
dam hi nikal gaya mera aawaz-e-pa ke sath
Momin Khan Momin
e-KHud the ghash the mahw the duniya ka gham na tha
jina visal mein bhi to hijran se kam na tha
Momin Khan Momin
chaara-e-dil siwae sabr nahin
so tumhaare siwa nahin hota
Momin Khan Momin
chal diye su-e-haram ku-e-butan se 'momin'
jab diya ranj buton ne to KHuda yaad aaya
from the streets of idols fair
to the mosque did I repai
Momin Khan Momin
Darta hun aasman se bijli na gir paDe
sayyaad ki nigah su-e-ashiyan nahin
Momin Khan Momin
dho diya ashk-e-nadamat ne gunahon ko mere
tar hua daman to bare pak daman ho gaya
Momin Khan Momin
dida-e-hairan ne tamasha kiya
der talak wo mujhe dekha kiya
Momin Khan Momin