abhi sumum ne mani kahan nasim se haar
abhi to marka-ha-e-chaman kuchh aur bhi hain
Moin Ahsan Jazbi
ai mauj-e-bala un ko bhi zara do chaar thapeDe halke se
kuchh log abhi tak sahil se tufan ka nazara karte hain
Moin Ahsan Jazbi
allah-re be-KHudi ki chala ja raha hun main
manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua
Moin Ahsan Jazbi
dil-e-nakaam thak ke baiTh gaya
jab nazar aai manzil-e-maqsud
Moin Ahsan Jazbi
hamin hain soz hamin saz hain hamin naghma
zara sambhal ke sar-e-bazm chheDna hum ko
Moin Ahsan Jazbi
hazar bar kiya azm-e-tark-e-nazzara
hazar bar magar dekhna paDa mujh ko
Moin Ahsan Jazbi
ek pyas bhare dil par na hui tasir tumhaari nazron ki
ek mom ke be-bas TukDe par ye nazuk KHanjar TuT gae
Moin Ahsan Jazbi
jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya
kam-nigah ye samjhe mausam-e-bahaar aaya
Moin Ahsan Jazbi
jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi
ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare
Moin Ahsan Jazbi