jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya
kam-nigah ye samjhe mausam-e-bahaar aaya
husn o ishq donon the be-karan o be-payan
dil wahan bhi kuchh lamhe jaane kab guzar aaya
us ufuq ko kya kahiye nur bhi dhundlaka bhi
bar-ha kiran phuTi bar-ha ghubar aaya
hum ne gham ke maron ki mahfilen bhi dekhin hain
ek gham-gusar uTha ek gham-gusar aaya
aarzu-e-sahil se hum kinara kya karte
jis taraf qadam uThe bahar-e-be-kanar aaya
yun to saikDon gham the par gham-e-jahan 'jazbi'
baad ek muddat ke dil ko sazgar aaya
Ghazal
Jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya
Moin Ahsan Jazbi