din judai ka diya wasl ki shab ke badle
lene the ai falak-e-pir ye kab ke badle
Mela Ram Wafa
go qayamat se peshtar na hui
tum na aae to kya sahar na hui
Mela Ram Wafa
ek bar us ne mujh ko dekha tha muskura kar
itni to hai haqiqat baqi kahaniyan hain
Mela Ram Wafa
itni tauhin na kar meri bala-noshi ki
saqiya mujh ko na de map ke paimane se
Mela Ram Wafa
kahna hi mera kya hai ki main kuchh nahin kahta
ye bhi tumhein dhoka hai ki main kuchh nahin kahta
Mela Ram Wafa
aaten aish-o-ishrat ki din dukh dard musibat ke
aati aati aati hain jate jate jate hain
Mela Ram Wafa
tum bhi karoge jabr shab o rose is qadar
hum bhi karenge sabr magar iKHtiyar tak
Mela Ram Wafa