gaD sin miTha hai bosa tujh lab ka 
is jalebi mein qand o shakkar hai
Faez Dehlvi
guD se miTha hai bosa tujh lab ka 
is jalebi mein qand-o-shakkar hai
Faez Dehlvi
husn be-saKHta bhata hai mujhe 
surma ankhiyan mein lagaya na karo
Faez Dehlvi
jab sajile KHiram karte hain 
har taraf qatl-e-am karte hain
Faez Dehlvi
KHak seti sajan uTha ke kiya 
ishq tere ne sar-buland mujhe
Faez Dehlvi
KHub-ru aashna hain 'faez' ke 
mil sabhi ram ram karte hain
Faez Dehlvi
main giraftar hun tere mukh par 
jag mein nai aur kuchh pasand mujhe
Faez Dehlvi
munh bandh kar kali sa na rah mere pas tu 
KHandan ho kar ke gul ki sifat Tuk suKHan mein aa
Faez Dehlvi
mujh ko auron se kuchh nahin hai kaam 
tujh se har dam umid-wari hai
Faez Dehlvi

