aaKHiri waqt talak sath andheron ne diya
ras aate nahin duniya ke ujale mujh ko
Danish Aligarhi
apne dushman ko bhi KHud baDh ke laga lo sine
baat bigDi hui is tarah bana li jae
Danish Aligarhi
gar tarannum par hi 'danish' munhasir hai shairi
phir to duniya bhar ke shair naghma-KHwan ho jaenge
Danish Aligarhi
ho ke majbur ye bachchon ko sabaq dena hai
ab qalam chhoD ke talwar uTha li jae
Danish Aligarhi
muskura kar un ka milna aur bichhaDna ruTh kar
bas yahi do lafz ek din dastan ho jaenge
Danish Aligarhi
udad-e-shab-e-gham yun Darta hun sunane se
mahfil mein kahin un ki surat na utar jae
Danish Aligarhi
tere firaq ne ki zindagi ata mujh ko
tera visal jo milta to mar gaya hota
Danish Aligarhi
zarre zarre mein mahak pyar ki Dali jae
bu tassub ki har ek dil se nikali jae
Danish Aligarhi