اردو हिंदी
Zarre zarre mein mahak pyar ki Dali jae | Shaahi Shayari
zarre zarre mein mahak pyar ki Dali jae

Ghazal

Zarre zarre mein mahak pyar ki Dali jae

Danish Aligarhi

;

zarre zarre mein mahak pyar ki Dali jae
bu tassub ki har ek dil se nikali jae

apne dushman ko bhi KHud baDh ke laga lo sine
baat bigDi hui is tarah bana li jae

aap KHush ho ke agar hum ko ijazat de den
aap ke nam se ek bazm saja li jae

ho ke majbur ye bachchon ko sabaq dena hai
ab qalam chhoD ke talwar uTha li jae

soch kar arz-e-talab waqt ke sultan se kar
mangne wale teri baat na KHali jae