anana paDta hai apne badan ko chhat apni
aur apne sae ko diwar karna paDta hai
Athar Nasik
kitne mani rakhta hai zara ghaur to kar
kuza-gar ke hath mein hona miTTi ka
Athar Nasik
main puchh leta hun yaron se rat-jagon ka sabab
magar wo mujh se mere KHwab puchh lete hain
Athar Nasik
main use subh na jaanun jo tere sang nahin
main use sham na manun ki jo tere bin hai
Athar Nasik
na-jaane kaun si majburiyan hain jin ke liye
KHud apni zat se inkar karna paDta hai
Athar Nasik
suraj lihaf oDh ke soya tamam raat
sardi se ek parinda dariche mein mar gaya
Athar Nasik
yahin kahin pe adu ne paDaw Dala tha
yahin kahin pe mohabbat ne haar mani thi
Athar Nasik
yaqin barson ka imkan kuchh dinon ka hun
main tere shahr mein mehman kuchh dinon ka hun
Athar Nasik