apni taraf to main bhi nahin hun abhi talak
aur us taraf tamam zamana usi ka hai
Ameer Imam
dhup mein kaun kise yaad kiya karta hai
par tere shahr mein barsat to hoti hogi
Ameer Imam
is bar rah-e-ishq kuchh itni tawil thi
us ke badan se ho ke guzarna paDa mujhe
Ameer Imam
jo sham hoti hai har roz haar jata hun
main apne jism ki parchhaiyon se laDte hue
Ameer Imam
na aabshaar na sahra laga sake qimat
hum apni pyas ko le kar dahan mein lauT aae
Ameer Imam
pahle sahra se mujhe laya samundar ki taraf
naw par kaghaz ki phir mujh ko sawar us ne kiya
Ameer Imam
shahr mein sare charaghon ki ziya KHamosh hai
tirgi har samt phaila kar hawa KHamosh hai
Ameer Imam
wo marka ki aaj bhi sar ho nahin saka
main thak ke muskura diya jab ro nahin saka
Ameer Imam
ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe
KHud ko sameTne mein bikharna paDa mujhe
Ameer Imam