shahr mein sare charaghon ki ziya KHamosh hai
tirgi har samt phaila kar hawa KHamosh hai
subh ko phir shor ke ham-rah chalna hai use
raat mein yun dil dhaDakne ki sada KHamosh hai
kaisa sannaTa tha jis mein lafz-e-kun kahne ke baad
gumbad-e-aflak mein ab tak KHuda KHamosh hai
kuchh batata hi nahin guzri hai kya pardes mein
apne ghar ko lauTta ek qafila KHamosh hai
uTh rahi hai meri miTTi se sada-e-al-atash
KHali mashkiza liye apna ghaTa KHamosh hai
Ghazal
Shahr mein sare charaghon ki ziya KHamosh hai
Ameer Imam