as isi ummid pe hota gaya barbaad main
gar kabhi bikhra to aa kar tu sambhaalega mujhe
Aks samastipuri
ik jata hun hathon-hath
had se ziyaada sasta hun
Aks samastipuri
ek rishta jise main de na saka koi nam
ek rishta jise ta-umr nibhae rakha
Aks samastipuri
jis hawa ne mujhe jalae rakha
phir usi ne bujha diya mujh ko
Aks samastipuri
kaise tum bhul gae ho mujhe aasani se
ishq mein kuchh bhi to aasan nahin hota hai
Aks samastipuri
tha mujhe wahm-o-guman ki wo faqat meri hai
aur us ne bhi bharam mera banae rakkha
Aks samastipuri
tu sirf meri hai us ka ghurur hai mujh ko
agar ye wahm mera hai to koi baat nahin
Aks samastipuri
us ne yun rasta diya mujh ko
raste se haTa diya mujh ko
Aks samastipuri
yar main itna bhuka hun
dhoka bhi kha leta hun
Aks samastipuri