jhuTh ka bolna aasan nahin hota hai
dil tere baad pareshan nahin hota hai
sab tere baad yahi puchhte rahte hain mujhe
ab kisi baat pe hairan nahin hota hai
kaise tum bhul gae ho mujhe aasani se
ishq mein kuchh bhi to aasan nahin hota hai
hijr ka zaiqa lije zara dhire dhire
sab ki thaali mein ye pakwan nahin hota hai
koi kirdar maza deta nahin hai us ka
jis kahani ka tu unwan nahin hota hai
hone ko kya nahin hota hai jahan mein lekin
tum se milne ka hi imkan nahin hota hai
Ghazal
JhuTh ka bolna aasan nahin hota hai
Aks samastipuri