hae wo jis ki ummiden hon KHizan par mauquf
shaKH-e-gul sukh ke gir jae to kashana bane
alas the one whose aspirations do on autumn rest
when the leaves dry off and fall, they would make their nest
Afsar Merathi
hai tere liye sara jahan husn se KHali
KHud husn agar teri nigahon mein nahin hai
Afsar Merathi
jab safar 'afsar' kabhi karte nahin
dekhe phir kyun ho tum manzil ke KHwa
Afsar Merathi
mujhe farda ki fikr kyun-kar ho
gham-e-imroz khae jata hai
Afsar Merathi
sukh mein hota hai hafiza bekar
dukh mein allah yaad aata hai
Afsar Merathi
taron ka go shumar mein aana muhaal hai
lekin kisi ko nind na aae to kya kare
Afsar Merathi