aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main
jab qarib aate ho KHud se dur ho jata hun main
Aatish Bahawalpuri
apne chehre se jo zulfon ko haTaya us ne
dekh li sham ne tabinda sahar ki surat
Aatish Bahawalpuri
chaarasazon ki chaara-sazi se
aur bimar ki dasha bigDi
Aatish Bahawalpuri
dar-haqiqat ittisal-e-jism-o-jaan hai zindagi
ye haqiqat hai ki arbab-e-himam ke waste
Aatish Bahawalpuri
gham-o-alam bhi hain tum se KHushi bhi tum se hai
nawa-e-soz mein tum ho sada-e-saz mein tum
Aatish Bahawalpuri
gila mujh se tha ya meri wafa se
meri mahfil se kyun barham gae wo
Aatish Bahawalpuri
jo chahte ho badalna mizaj-e-tufan ko
to naKHuda pe bharosa karo KHuda ki tarah
Aatish Bahawalpuri
KHugar-e-lazzat-e-azar tha itna 'atish'
dard bhi manga to pahle se siwa manga tha
Aatish Bahawalpuri
maslahat ka yahi taqaza hai
wo na manen to man jao tum
Aatish Bahawalpuri