KHamosh baiThe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah
koi payam to do ramz-ashna ki tarah
kahin tumhaari rawish KHar-o-gul pe bar na ho
riyaz-e-dahr se guzre chalo saba ki tarah
niyaz-o-ijz hi mearaj-e-adamiyyat hain
baDhao dast-e-saKHawat bhi iltija ki tarah
jo chahte ho badalna mizaj-e-tufan ko
to naKHuda pe bharosa karo KHuda ki tarah
mujhe hamesha rah-e-zist ke dorahon par
ek ajnabi hai jo milta hai aashna ki tarah
tamam umr raha sabiqa yazidon se
mere liye to ye duniya hai karbala ki tarah
umid un se wafa ki to KHair kya kije
jafa bhi karte nahin wo kabhi jafa ki tarah
ye dahr bhi to hai mai-KHana-e-alast-numa
raho yahan bhi kisi rind-e-parsa ki tarah
zaban pe shikwa-e-be-mehri-e-KHuda kyun hai?
dua to mangiye 'atish' kabhi dua ki tarah
Ghazal
KHamosh baiThe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah
Aatish Bahawalpuri