ibtida bigDi intiha bigDi
ibn-e-adam ki har ada bigDi
chaarasazon ki chaara-sazi se
aur bimar ki dasha bigDi
baz aaya na apni fitrat se
meri naseh se barha bigDi
ban gaya marja-e-KHalaiq-e-dasht
shahr ki is qadar faza bigDi
nam rakkha gaya sumum us ka
lala-o-gul se jab saba bigDi
mai-kade mein bhi dekh kar na kaho
niyyat-e-shaiKH-e-parsa bigDi
tark-e-ulfat ke baad to 'atish'
baat pahle se bhi siwa bigDi
Ghazal
Ibtida bigDi intiha bigDi
Aatish Bahawalpuri