aaj andhera meri nas nas mein utar jaega
aankhen bujh jaengi bujh jaenge ehsas o shuur
aur ye sadiyon se jalta sa sulagta sa wajud
is se pahle ki sahar mathe pe shabnam chhiDke
is se pahle ki meri beTi ke wo phul se hath
garm ruKHsar ko ThanDak baKHshen
is se pahle ki mere beTe ka mazbut badan
tan-e-mafluj mein shakti bhar de
is se pahle ki meri biwi ke honT
mere honTon ki tapish pi jaen
rakh ho jaega jalte jalte
aur phir rakh bikhar jaegi
zindagi kahne ko be-maya sahi
gham ka sarmaya sahi
main ne is ke liye kya kya na kiya
kabhi aasani se ek sans bhi yamraj ko apna na diya
aaj se pahle bahut pahle
isi aangan mein
dhup-bhare daman mein
main khaDa tha mere talwon se dhuan uThta tha
ek be-nam sa be-rang sa KHauf
kachche ehsas pe chhaya tha ki jal jaunga
main pighal jaunga
aur pighal kar mera kamzor sa main
qatra qatra mere mathe se Tapak jaega
ro raha tha magar ashkon ke baghair
chiKHta tha magar aawaz na thi
maut lahraati thi sau shaklon mein
main ne har shakl ko ghabra ke KHuda man liya
kaT ke rakh diye sandal ke pur-asrar daraKHt
aur patthar se nikala shoala
aur raushan kiya apne se baDa ek alaw
jaanwar zabh kiye itne ki KHun ki lahren
panw se uTh ke kamar tak aain
aur kamar se mere sar tak aain
som-ras main ne piya
raat din raqs kiya
nachte nachte talwe mere KHun dene lage
mere aaza ki thakan
ban gai kanpte honTon pe bhajan
haDDiyan meri chaTaKHne lagin indhan ki tarah
mantar honTon se Tapakne lage roghan ki tarah
agni mata meri agni mata
sukhi lakDi ke ye bhaari kunde
jo teri bhenT ko le aaya hun
un ko swikar kar aur aise dhadhak
ki machalte shoale khinch len josh mein
suraj ki sunahri zulfen
aag mein aag mile
jo amar kar de mujhe
aisa koi rag mile
agni man se bhi na jine ki sanad jab pai
zindagi ke nae imkan ne li angDai
aur kanon mein kahin dur se aawaz aai
buddham sharaDam gachhami
dhammam sharaDam gacchami
sangham sharaDam gacchami
chaar abru ka safaya kar ke
be-sile wastr se Dhanpa ye badan
ponchh ke patni ke mathe se damakti bindiya
sote bachchon ko bina pyar kiye
chal paDa hath mein kashkol liye
chahta tha kahin bhiksha hi mein jiwan mil jae
jo kabhi band na ho dil ko wo dhaDkan mil jae
mujh ko bhiksha mein magar zahr mila
honT tharrane lage jaise kare koi gila
jhuk ke suli se usi waqt kisi ne ye kaha
tere ek gal pe jis pal koi thappaD mare
dusra gal bhi aage kar de
teri duniya mein bahut hinsa hai
us ke sine mein ahinsa bhar de
ki ye jine ka tariqa bhi hai andaz bhi hai
teri aawaz bhi hai meri aawaz bhi hai
main uTha jis ko ahinsa ka sabaq sikhlane
mujh ko laTka diya suli pe usi duniya ne
aa raha tha main kai kuchon se Thokar kha kar
ek aawaz ne roka mujh ko
kisi minar se niche aa kar
allahu-akbar allahu-akbar
hua dil ko ye guman
ki ye pur-josh azan
maut se degi aman
phir to pahuncha main jahan
main ne dohrai kuchh aise ye azan
gunj uTha sara jahan
allahu-akbar allahu-akbar
isi aawaz mein ek aur bhi gunja elan
kullo-man-alaiha-fan
ek taraf Dhal gaya KHurshid-e-jahan-tab ka sar
hua falij ka asar
phaT gai nas koi shiryanon mein KHun jam sa gaya
ho gaya zaKHmi dimagh
aisa lagta tha ki bujh jaega jalta hai jo sadiyon se charagh
aaj andhera meri nas nas mein utar jaega
ye samundar jo baDi der se tufani tha
aisa taDpa ki mere kamre ke andar aaya
aate aate wo mere waste amrit laya
aur lahra ke kaha
shiw ne ye bhejwaya hai lo piyo aur
aaj shiw ilm hai amrit hai amal
ab wo aasan hai jo dushwar tha kal
raat jo maut ka paigham liye aai thi
biwi bachchon ne mere
us ko khiDki se pare phenk diya
aur jo wo zahr ka ek jam liye aai thi
us ne wo KHud hi piya
subh utri jo samundar mein nahane ke liye
raat ki lash mili pani mein
Nazm
Zindagi
Kaifi Azmi