zaiqe jab ham-burger ke zaban tak aa gae
pahle na karte the jo sahib wo han tak aa gae
uTh ke pani bhi na pite the jo shaer apne ghar
dad ki KHatir wo 'zarrin' ke makan tak aa gae
us gulu-kara mein resham ki thi kuchh aisi chamak
sadr-e-mahfil bhi khisak kar 'reshman tak aa gae
us ne is andaz se chuma meri tahrir ko
mere letter par lipstick ke nishan tak aa gae
Nazm
Zaban tak aa gae
Khalid Irfan