tab wo be-saKHta ro paDe sina-kubi kare
jaane wale ka matam kare
bain karte phire
aaKHiri pat ke sog mein
tilmilati rahe
zat ke rog mein
phir wo rut aae jab
chikni kai-zada si chaTTanon pe dekhun main KHud ko
main aankhon ke pani ko rokun magar pani kaise ruke
tab main chiKHun bulaun use
gahre nile samundar ki tah mein wo hogi kahin kaun jaane
magar wo bulawe ko sun kar samundar ki tah se ubhar kar
mere pas aae mujhe chhu ke dekhe
kahe tum kahan the
KHudara batao ki tum itna arsa kahan the
mujhe KHud se lipTae mahki hui god mein le ke jhula jhulae
koi git gae jo sayyal chandi ka chashma sa ban kar bahe
dhund ban kar uDe
mujh ko suraj ki gandi tamazat se mahfuz kar de
kahe ab to jaane na dungi tumhein
ab main jaane na dungi tumhein
aur main
apne bojhal papoTon ko miche
kisi narm jhonke ke qadmon ki aahaT sunun
tang hote hue dudhiya bazuon ke
mulaem se halqe mein sone lagun
kash sone lagun
kash main so sakun
Nazm
Zat ke rog mein
Wazir Agha