tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho
dil ye kahta hai ki tum mahram-e-asrar bhi ho
tumhein fitrat ki bahaaron ki qasam
ye tamasha-gah-e-alam kya hai
nur-e-KHurshid ka jaan-soz jahan-tab jamal
aasmanon pe sitaron ka subuk-kaam KHiram
ye garajte hue baadal
ye samundar ka KHarosh
ye parindon ke suhane naghme
kahin baDhti hui azmat kahin luTta hua husn
be-sabab buKHl farawan-baKHshi
qaht aalam masaib ke pahaD
aish ke khusrawi-o-tantana-e-faghfuri
kahin parwez ke hile kahin changez ke zulm
kahin shabbiri-o-ibrahimi
raaz hi raaz hai hairat-kada-e-bazm-e-numud
tum chaman-zad ho fitrat ke qarin rahte ho
ye tamasha-gah-e-alam kya hai
nur-e-mahtab ki chadar le kar
ghas soti hi rahi
phul lab band rahe
peD rahe mahw-e-sukut
tund-rau baad-e-shumali ka tariDa aaya
phul teyora se gae
peD hue sar-ba-sujud
ghas ne chadar-e-mahtab mein karwaT badli
ye tamasha-gah-e-alam kya hai

Nazm
Ye tamasha-e-gah-e-alam kya hai
Tasadduq Husain Khalid