ai hawa
phir se mujhe chhu kar qasam kha
sehn mein kis ne qadam rakkha tha
chupke se
yahan se kaun miTTi le gaya tha
waqt ki thaali mein
kis ne la ke rakh di
jhilmilati lau ke aage
raqs karti
ye sajili murti
jis ke nuqush-e-jism
raushan ho rahe hain
weshiya ke honT
farba panw jaise ek girahstan ke
KHamiri peT mein
maKHmal ki lahren
nuri wa nari
subuk-andam lahron mein
bhanwar ek gol sa
phir se mujhe chhu kar qasam kha
ai hawa
tu jaanti hai
raaz sara
do alag tarzon ki miTTi
ek bartan mein mila kar
gundhne ka!!
Nazm
Ye sajili murti
Rafiq Sandelvi