meri zindagi ki likhi hui
mere taq-e-dil pe saji hui
wo kitab ab bhi hai muntazir
jise main kabhi nahin paDh saki
wo tamam bab sabhi waraq
hain abhi talak bhi juDe hue
mera ahd-e-did bhi aaj tak
unhen wo judai na de saka
jo har ek kitab ki ruh hai
mujhe KHauf hai ki kitab mein
mere roz-o-shab ki aziyyaten
wo nadamaten wo malamaten
kisi hashiye pe raqam na hon
main fareb-KHurda-e-bartari
main asir-e-halqa-e-buz-dili
wo kitab kaise paDhungi main?
Nazm
Wo kitab
Zehra Nigaah