wo jo shaer tha, chup sa rahta tha
bahki bahki si baaten karta tha
aankhen kanon pe rakh ke sunta tha
gungi KHamoshiyon ki aawazen!
jama karta tha chand ke sae
gili gili si nur ki bunden
ok mein bhar ke khaDkhaData tha
rukhe rukhe se raat ke patte
waqt ke is ghanere jangal mein
kachche pakke se lamhe chunta tha
han, wahi, wo ajib sa shaer
raat ko uTh ke kuhniyon ke bal
chand ki ThoDi chuma karta hai!!
chand se gir ke mar gaya hai wo
log kahte hain KHud-kushi ki hai
Nazm
Wo jo shaer tha
Gulzar