اردو हिंदी
Uske nam jise tariki nigal chuki | Shaahi Shayari
uske nam jise tariki nigal chuki

Nazm

Uske nam jise tariki nigal chuki

Injila Hamesh

;

kaun paDh sakta hai baatin ko
kaun chhu sakta hai aankhon ki virani ko

kaun diwaron pe marti dhup ko apne andar utar sakta hai
jab hawas koDh-zada ho jaen

tab judai ke zaKHm se man ajnabi ho jata hai
wo meri aawaz ke lams se bahut dur hai

wo kaun si banjar zamin hai
jahan mere kisi ehsas kisi kaifiyat ki rasai nahin hoti

be-tahasha chiKH mere andar jama hai
mohabbat kis kis tarah se mazaq banti hai

KHuda ne har bar mere dil ko aazmaya
ye meri KHud-kalami hai jo mujhe zinda rakhe hue hai

warna mujhe marne walon ne
mera amn KHali kar diya tha

us ne KHamoshi ko apna hathiyar banaya
aur us hathiyar se

fariyaad karne wale ki ruh ko zaKHmi kar diya
wo jaanta hai

tashaddud kis kis tarah se kiya ja sakta hai
wo be-zar ho gaya us aawaz se

wo be-zar ho gaya us aawaz se
jo rok rahi thi use andheron mein jaane se

afsos
wo kho gaya

use tariki nigal chuki hai