اردو हिंदी
Tufani raat ki aawaz | Shaahi Shayari
tufani raat ki aawaz

Nazm

Tufani raat ki aawaz

Qamar Jameel

;

ai rone wale baadal
chup ho ja

dastak dene wale jhingur
bahar aa

koyal mujh mein kuk rahi hai
Dali mujh mein sukh rahi hai

KHizan ka suraj nikal raha hai
main bhi chup hun

tu bhi chup ho ja
main bhi sone wala hun

tu bhi kisi dahqan ke ghar so ja
ai rone wale baadal

chup ho ja