tumhaari aankhen shararti hain
tum apne pichhe chhupe hue ho
baghaur dekhun tumhein to mujh ko
shararaton par ubhaarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
lahu ko shoala-ba-dast kar den
ye pattharon ko bhi mast kar den
hayat ki sukhti ruton mein
bahaar ka band-o-bast kar den
kabhi gulabi kabhi sunahri
samundaron se ziyaada gahri
tahon mein apni utarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
haya bhi hai un mein shoKHiyan bhi
ye raaz bhi apni tarjuman bhi
riyasat-e-husn-o-ishq ki hain
reaya bhi aur hukmaran bhi
wo kho gaya ye mili hain jis ko
ye jitna chahti hai jis ko
usi se dar-asal haarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
kashish ka wo daera banaen
hawas jis se nikal na paen
main apne andar bikhar sa jaun
sameTne bhi na mujh ko aaen
ajab hai anjaan-pan bhi un ka
main un ka aur mera fan bhi un ka
KHamosh rah kar pukarti hain
tumhaari aankhen shararti hain
Nazm
Tumhaari aankhen shararti hain
Muzaffar Warsi