muddaton baad aai ho tum
aur tumhein itni fursat kahan
an-kahe harf bhi sun sako
aarzu ki wo tahrir bhi paDh sako
jo abhi tak likhi hi nahin ja saki
itni mohlat kahan
mere baghon mein jo khil na pae abhi
un shagufon ki baaten karo
dard hi banT lo
mere kin mahtabon se tum mil sakin
kitni aankhon ke KHwabon se tum mil sakin
han tumhaari nigah-e-sataish ne
ghar ki sab aaraishen dekh lin
tan ki aasaishen dekh lin
mere dil mein jo paikan taraazu hue
tum ko bhi
lala-o-gul ke be-saKHta istiare lage
Nazm
Tum bhi
Ada Jafri