wo ek lamha jis ki talash mein
main ne apne arz-o-sama ki
pur-asrar kashish se nikal kar
ek KHayal-afroz KHala mein jast laga di
aur apne mehwar se bichhaD kar
is be chehra kahkashan ke
dusre sayyaron ke asar mein
gardish karne aur bhaTakte rahne mein
ek umr ganwa di
wo lamha ek jugnu ban kar
jalta bujhta
ab bhi meri ummidon ki
KHush-fahm nigahon ki zad par hai
raushni ki raftar se main masruf-e-safar hun
phir bhi meri raushan aankhon se
is simab sifat jugnu ka
fasla ek hi had par hai
aur ab shayad
waqt to sakit hone ki sarhad par hai
mere wajud pe
ek be-nam thakan tari hai
lekin phir bhi
mera taaqub jari hai
Nazm
Tufaili sayyara
Sarshar Siddiqui