اردو हिंदी
Tilismi ghaar ka darwaza | Shaahi Shayari
tilismi ghaar ka darwaza

Nazm

Tilismi ghaar ka darwaza

Adil Mansuri

;

roz aadhi raat ko
ek tilismi ghaar ke

KHufiya darwaze ke sine mein janam leti hain ghaibi dhaDkanen
ghaar ki gahrai mein

chalte hue sangit ke qadmon ki chap
raat ki andhi hawa ka hath pakDe dur tak jati hai sath

ek zahri sanp
khinch aata hai sar ki chah mein

lakh KHatre hain zara si rah mein
band darwaze ke pas

narm bhini ghas mein
baiTh jata hai wo kunDli mar ke

aur apna phan uThae
jhumta rahta hai sar ki tan par

khelta rahta hai apni jaan par
TuTta hai jis ghaDi sar ka bahao

sanp ko aata hai tao
band darwaze pe ghussa mein paTakta hai wo sar

aur Das leta hai us ko apna zahri phan uTha kar
subh hone tak to mar jata hai darwaza

magar
roz aadhi raat ko