wo bhi ek achchha musawwir tha
pichhle balwe mein hi us ke
donon bazu kaT gae
aur us balwe mein us ki
donon aankhen bujh gain
nur-e-fitrat ki sabhi shaklen miTin
baDi mushkil se us andhe musawwir ko
ek kamra chaal mein hi mil gaya
aur paDosan ke wasile se jawan beTi ko bhi
kar-KHane mein sada ki tisri pali mili
ab wo man ki god mein raaton ko soti bhi nahin
mang afshan chuDiyon ki zid mein roti bhi nahin
Nazm
Tisri pali
Akhtar Rahi