zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
masco, paris aur london mein
dekhe main ne tin sharabi
surKH thin aankhen ruh gulabi
nashsha-e-mai ka taj jabin par
fikr falak par panw zamin par
be-KHabar apni laghzish-e-pa se
ba-KHabar apne ahd-e-wafa se
duKHtar-e-raz ke dar ke bhikari
apne qalb o nazar ke shikari
pi lene ke baad bhi pyase
jam ki surat chhalke chhalke
abr ki surat halke halke
masti ki talwar uThae
fasl-e-gul chehron pe khilae
qadam qadam par bahak rahe the
mahak rahe the chahak rahe the
ek ne shayad whiskey pi thi
dusre ne shampain ki botal
tisare ne wo pighli chandi
wodka ki sayyal hasina
wo shai jis ki tabish-e-ruKH se
shishe ko aa jae pasina
main ne un nazuk lamhon mein
ruh-e-bashar ko uryan dekha
ahd-e-KHizan ka rang-e-paridan
rang-e-ahd-e-bahaaran dekha
zahir dekha pinhan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
raat ne apni kali zaban se
KHun shafaq ke dil ka chaTa
chaar taraf KHamoshi chhai
phail gaya har-su sannaTa
jannat-e-paris ke pahlu mein
seine ki maujon ko nind aai
Dasne lagi mujh ko tanhai
mai-KHane mein ja kar main ne
aag se dil ki pyas bujhai
rind bahut the lekin wo sab
apne nashe mein khoe hue the
jag rahi thin aankhen lekin
dil to sab ke soe hue the
koi nahin tha un mein mera
mein ye baiTha soch raha tha
kab ye zalim raat kaTegi
kab wapas aaega sawera
itne mein ek qamat-e-rana
qadam qadam par phul khilata
honTon se masum tabassum
aankhon se bijli barsata
mai-KHane mein jhum ke aaya
naz o ada ke dam bichhata
aish o tarab ki mahbubayen
nashsha-e-mai ki doshizaen
rah gain apni aankhen mal kar
aai qayamat chaal mein Dhal kar
sikkon ki jhankar pe gati
sone ki talwar nachati
apne lahu mein aap nahati
is nazuk lamhe mein main ne
hirs-o-hawas ko raqsan dekha
zad mein nizam-e-zardari ki
ruh-e-bashar ko larzan dekha
majburi ko uryan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
gahre kohre ki lahron mein
sara london Dub gaya tha
lamhon ki raushan aankhon mein
sham ka kajal phail chuka tha
raat ki nili dewi jagi
din ke dewta ko nind aai
Dasne lagi mujh ko tanhai
mai-KHane mein ja kar main ne
aag se dil ki pyas bujhai
us mahfil mein sab hi kuchh tha
saqi bhi aur pir-e-mughan bhi
sahba ki aaghosh ke pale
tiflak-e-masti rind-e-jawan bhi
ghaza o rang ki mashuqaen
jin ki latafat shab bhar ki thi
itr aur resham ki minaen
jin ki sahba lab bhar ki thi
aaj ka sukh tha, kal ka dukh tha
aaj ki aasha, kal ki nirasha
hans hans kar gham dekh rahe the
in jhuTi KHushiyon ka tamasha
na-ummidi ke kandhon par
rakkha tha ummid ka lasha
aaj wo le len, jo mil jae
kal kya hoga kaun batae
aaj dilon ki shama jalaen
kal shayad ye raat na aae
aaj to mai ki kashti khe len
kal ye safina Dub na jae
aaj labon ka bosa le len
maut ka bosa kal lena hai
aaj dilon ka qarz chuka len
kal to sab kuchh de dena hai
is nazuk lamhe mein main ne
ruh-e-bashar ko viran dekha
atom-bomb ke KHauf ke aage
aql o KHirad ko hairan dekha
sare jahan ko larzan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
dosh-e-hawa par tariki ne
zulfon ke KHam khol diye the
masco ki KHamosh faza mein
raat ki aankhon ke kajal ne
kitne jadu ghol diye the
surKH o siyah maKHmal ke upar
sham ke sayon ko nind aai
Dasne lagi mujh ko tanhai
mai-KHane mein ja kar main ne
aag se dil ki pyas bujhai
KHush-fikron ka abr-e-bahaaran
jhum paDa tha mai-KHanon par
baada-kashon ka rangin jhurmuT
TuT paDa tha paimanon par
saz ki lai mein tezi aai
nashsha-e-mai ki angDai ne
apna hasin parcham lahraya
chappa chappa zarra zarra
qatra qatra raqs mein aaya
naghmon ke be-tab bhanwar ko
lab ke TukDe chum rahe the
raqs ke bekal girdabon mein
jism ke tufan ghum rahe the
chehron ki raushan qindilen
banhon ki dil-kash mehraben
rag nazar ki KHamoshi ke
jumbish-e-mizhgan ki mizraben
is gardish mein darham-barham
sara nizam-e-shams-o-qamar tha
pighal gae the chand aur suraj
mahfil-e-gul mein raqs-e-sharar tha
raat ki peshani se jaise
taron ka jhumar TuT gaya ho
pir-e-falak ke hath se jaise
tasht-e-zamarrud chhuT gaya ho
hire, nilam, lal aur moti
KHak pe jaise bikhar rahe hain
jaise kisi ke barham gesu
bikhar bikhar kar sanwar rahe hon
nashsha-e-mai ke sar par lekin
aql o KHirad ka taj dhara tha
dur se baiTha baiTha mujh ko
ek sharabi dekh raha tha
us ne hawa mein hath se apne
nanha sa ek bosa phenka
ek titli si uDti aai
mere dil ke phul ke upar
kuchh kanpi aur kuchh manDlai
baiTh gai par joD ke donon
pyar ke ras ko chus ke uTThi
aur meri jaanib se hawa mein
bosa ban kar phir lahrai
kuchh sharmai, kuchh itrai
aur sharabi mez se uTh kar
raqs ke halqon se Takraata
kashti ki surat chakraata
hath mein apna jam uThae
meri jaanib jhumta aaya
KHandan KHandan, nazan nazan
raqsan raqsan, pechan pechan
mauj-e-hawa ko chumta aaya
meri zaban thi urdu, hindi
us ki zaban thi rusi lekin
ek zaban thi aisi bhi jo
donon zabanon se pyari thi
donon jis ko bol rahe the
chand ishaare chand tabassum
nazron ka KHamosh takallum
harf yahi the, lafz yahi the
shahad jo dil mein ghol rahe the
hind ki masti, rus ka naqsha
donon ne ek jam banaya
aur hawa mein us ko nachaya
sath hamare sab rindon ne
apne dilon ko hath mein le kar
mere watan ka jam uThaya
ab jo main ne muD kar dekha
jashn na tha ye diwanon ka
gird hamare amn ki dewi
git ki huren saz ki pariyan
naghme aur aawaz ki laDiyan
paris ki bad-baKHt hasina
maghrur america ka sipahi
london ka badmast sharabi
aish o tarab ki mahbubaen
nashsha-e-mai ki doshizaen
ghaza o rang ki mashuqaen
itr aur resham ki minaen
'hafiz' aur 'ghaalib' ki ghazlen
'pushkin' aur 'tagore' ki nazmen
kitne naz aur kitni adaen
kitni shirin aur lailaen
kitne ranjhe, kitni hiren
kitne but, kitni taswiren
amn ki koshish aur tadbiren
mashriq o maghrib ki taqdiren
halqa bandhe nach rahi thin
main ne is nazuk lamhe mein
ruh-e-bashar ko nazan dekha
nashsha o raqs ke pech o KHam mein
pyar ka jazba raqsan dekha
sare jahan ko KHandan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
Nazm
Tin sharabi
Ali Sardar Jafri