اردو हिंदी
Telewision | Shaahi Shayari
telewision

Nazm

Telewision

Khalid Irfan

;

telewision ahd-e-hazir ka ek aflatun hai
lag gaya hai jo hamare munh ko ye wo KHun hai

is tarah telewision ka har drama ho gaya
jaise lazim sherwani par pajama ho gaya

ishtihaar is tarah lazim hai KHabar-name ke baad
jaise ful-stop ki maujudgi comme ke baad

ek Darama nashr hota hai jo aadhi raat mein
wo bahut maqbul hai is ahd ke jinnat mein

jis jagah Time bacha thoDa sa gana de diya
raat ke bara-baje qaumi tarana de diya

mahfil-e-sheari ko aadhi raat mein bhugta diya
bhairwin ka rag paune-nau-baje chipka diya

aaj phir fanni KHarabi ho gai do-chaar bar
intizar o intizar o intizar o intizar

telewision ho gaya sangin biwi ki tarah
aur biwi ho gai rangin TV ki tarah