yazid naqsha-e-jaur-o-jafa banata hai
husain us mein KHat--ekarbala banata hai
yazid mausam-e-isyan ka la-ilaj maraz
husain KHak se KHak-e-shifa banata hai
yazid kaKH-e-kasafat ki Dolti buniyaad
husain husn ki hairat-sara banata hai
yazid tez hawaon se joD toD mein gum
husain sar pe pahan ke rida banata hai
yazid likhta hai tarikiyon ko KHat din bhar
husain sham se pahle diya banata hai
yazid aaj bhi bante hain log koshish se
husain KHud nahin banta KHuda banata hai
Nazm
Tazad
Ghulam Mohammad Qasir