mujh ko tashwish hai kuchh roz se mere mahbub
mere andaz-e-tafakkur ki ye pur-KHar rawish
teri hassas tabiat ko na kar de majruh
aur tu samjhe ki nahin tujh mein wo pahli si kashish
ab bhi jalwon mein hai taKHliq-e-mohabbat ki sakat
teri baaton mein abhi tak hai fusun ka andaz
aariz o lab pe tabassum ka KHiram-e-madhosh
ab bhi deta hai taKHayyul ko payam-e-parwaz
phir bhi ehsas-e-masarrat ka na ho zehn ko hosh
gin to sakta hun, shab-e-hijr mein taron ko magar
zehn aawara KHayalat se bhar jata hai
ashk-e-majbur bahaun gham-e-jaanan mein magar
silsila mere in ashkon ka bikhar jata hai
mujh ko tashwish hai kuchh roz se mere mahbub
mere andaz-e-takallum ki ye begana-rawi
teri hassas tabiat ko na kar de majruh
aur taskin na ho phir husn-e-KHud-ara ko kabhi
Nazm
Tashwish
Hasan Nayeem