اردو हिंदी
Targhib | Shaahi Shayari
targhib

Nazm

Targhib

Nahid Qasmi

;

pyare suraj
tum to apna chehra

aasman par tairte taron ke aainon hi mein DhunDte rahte ho
par meri bhi ek baat suno

ye jo aankh mein raushan tare hain
aur ye jo galon par bahte hue tare hain

aur ye jo phul phul ki patti patti par Thahre hue tare hain
aur ye jo ret se jhankte tare hain

aur ye jo nadiya ki lahron par nachte aur nahate tare hain
ye tare bhi aaine hain

aur meri zamin ke ye aaine
pyare sirf tumhaare hain