kitab chhap gai chhe range title ke sath
tabaat aur kitabat koi jawab nahin
ye rang aur ye nawwe gram ka paper
adab ke bab mein aisi koi kitab nahin
saji thi bazm-e-pazirai ek hotel mein
jahan gulab se chehre to the gulab nahin
kisi wazir ne is bazm ki sadarat ki
ye baat mujh ko batane se ijtinab nahin
KHusha ki bazm mein hazir the radio TV
nizam-e-gardish-e-dauran tera jawab nahin
muqarrarin mein shamil the sab hain danish-war
wo hastiyan thin jinhen dekhne ki tab nahin
ye kah ke 'ghaalib' o 'momin' ka de diya darja
adab mein aisa koi aur aaftab nahin
magar kitab ki taqrib-e-ru-numai mein
kitab chiKH rahi thi ki main kitab nahin
Nazm
Taqrib-e-ru-numai
Khalid Irfan