اردو हिंदी
TaKHliq | Shaahi Shayari
taKHliq

Nazm

TaKHliq

Siraj Faisal Khan

;

wo mujh se kahti thi
mere shair

ghazal sunao
jo an-suni ho

jo an-kahi ho
ki jis ke ehsas

an-chhue hon
hon sher aise

ki pahle misre ko
sun ke

man mein
khile tajassus

ka phul aisa
misal jis ki

adab mein sare
kahin bhi na ho

main us se kahta tha
meri jaanan

ghazal to koi ye kah chuka hai
ye moajiza to

KHuda ne mere
dua se

pahle hi kar diya hai
tamam aalam ki

sab se pyari
jo an-kahi si

jo an-suni si
jo an-chhui si

hasin ghazal hai
wo mere pahlu mein

jalwa-gar hai