raat zulfon ki dil-awez shamim
sohbat-e-shauq ko garmati rahi
shahid-e-shoKH ka paikar tha KHayal
garm aaza ka gudaz
lazzat-e-ghamza-o-naz
chhiD gae saz ke tar
yun machalti thin umangen meri
jaise gardun pe sitare chamken
KHaliq-e-zist ko ek sharm si mahsus hui
ek nae karb-e-tamanna ka sahaara le kar
KHwab-e-rahat se uTha
aur aamada-e-paikar hua
dasht-e-paikar mein baDhta hi gaya
baDh ke ek chashma-e-simin ne qadam chum liye
nur-e-sayyal se manus faza
dil-e-be-tab ko ras aane lagi
jism aasuda hua
arsh par ek sitara TuTa
ek nai zist ki taKHliq hui
Nazm
TaKHliq
Krishna Mohan