zindagi main tere darwaze par
ek bhikari ki tarah aaya tha
apne daman ko bana kar kashkol
teri har rah pe phailaya tha
ek marhum kiran ki KHatir
mujh ko thoDi si ziya bhi na mili
dam-ba-dam Dubte sayyare ko
apne markaz se sada bhi na mili
dafatan ek dhamake ke sath
kachche dhagon ke sire chhuT gae
ungliyan chhil gain armanon ki
yak-ba-yak tar-e-nafas TuT gae
aur phir ek ghana sannaTa
aur phir rasm-e-kohan ke gesu
kuchh dilase ki zabani baaten
kuchh dikhawe ke purane aansu
2
kohr mein Dub gai thin shamen
waqt naraaz tha qismat ki tarah
raat ke ruKH pe the zaKHmon ke nishan
meri majruh hamiyat ki tarah
ek KHatarnak kagare ke qarib
tujh se laDne ka irada le kar
main ne mohron ko sikhai shorish
main ne maujon ke bigaDe tewar
tu magar aai to ek lamhe mein
na wo tewar the na wo aahen thin
tere aariz pe mere aansu the
meri gardan mein teri bahen thin
Nazm
Tajrid
Mustafa Zaidi