nim-KHwabida bojhal subuk-sar hua
shab ki aaghosh mein dafatan jag uThi
kasmasati hui sar uTha ke chali
shab ki aaghosh se sard bojhal hawa
laDkhaDa ke chali be-KHatar be-hazar
chur nashshe mein yak-chashm ifrit-e-shab
aankh ki surKH golai raushan kiye
hai hawa ke taaqub mein har moD par
kaun roke use kaun Toke use
hain tazadon ke aaseb is shahr mein
nafa o hirs o hawas ki jabinon ko bhi
chand ke rup mein Dhaalne ke liye
dast-e-shab ne do-ruya imaraat par
raushni ki lakiron se likkhe hain nam
shahr ki shah-rahon pe hain raqs mein
nilgun surKH pile hare daere
gah jalte hue gah bujhte hue
har andhere pe hai raushni ka naqab
ek hawa hai ki jis ki nigahon mein hai
shahr ke dil ki tarikiyon ka hisab
shahr ke shab-zada pairahan mein kahin
kahkashan ki tarah raushni to nahin
pairahan mein syahi ke har dagh par
raushni ki lakiron ke paiwand mein
aur is shahr ke dil ki qindil par
raushni ki lakiron ke dar band hain
Nazm
Tarikiyon ka hisab
Sahar Ansari