sochta hun
waqt ki gardan pakaD kar
reshmi scarf ka phanda laga kar
khinch lun
aur itni zor se chiKHun
zamin se
aasman tak
sirf meri chiKH hi ka shor gunje
waqt ki marti hui aawaz koi sun na pae
sochta hun
wusat-e-afaq mein parwaz kar ke
raat ki aankhon mein tariki ka parda Dal kar main
chand taron ko chura laun zamin par
aur thoDi der
bachchon ki tarah KHush ho ke khelun
khelne se bhi jab apna dil na bahle
ek patthar par paTaKH kar
har khilaune ko main chakna-chur kar dun
sochta hun
aasman se chhin kar
jalte hue suraj ki thaali
ek kashti ki tarah
gahre samundar mein chalaun
aur us par sari duniya ko biTha kar
gharq kar dun
sochta hun
sochte hi sochte
main KHud hi ek din
soch ke aatish-kada mein jal na jaun
Nazm
Suraj ka aatish-kada
Kaif Ahmed Siddiqui