ham-chashmon ke ghol magan hain shaKHon par
KHush-raftar hawaen pankhe jhalti hain
gular ke kachche phal bhi har jaanib hain
miThe pani wali jhil hai pahlu mein
mausam ki shatranji chaalen anqa hain
koi shikari bhi is samt nahin aata
hare-bhare jangal ki mushfiq banhon mein
raat gae jaane kya barsa hai dil par
alag-thalag bargad ki sukhi Tahni par
hariyal pankh bichhae gum-sum baiTha hai
Nazm
Sukhi Tahni par hariyal
Ambar Bahraichi