us bairi ki unchi choTi par wo sukha tanha patta
jis ki hasti ka bairi hai patjhaD ki rut ka har jhonka
kash meri ye qismat hoti kash main wo ek patta hota
TuT ke jhaT us Tahni se gir paDta kitna achchha hota
gir paDta us bairi wale ghar ke aangan mein gir paDta
yun un pazebon wale panw ke daman mein gir paDta
jis ko mere aansu pujen us ghar ke KHashak mein mil kar
jis ko mere sajde tarsen us dware ki KHak mein mil kar
us aangan ki dhul mein mil kar miTta miTta miT jata main
umr bhar un qadmon ko apne sine par muztar pata main
hae mujh se na dekha jae aaya hawa ka jhonka aaya
Daliyan larzin Tahniyan kanpin lo wo sukha patta TuTa
Nazm
Sukha tanha patta
Majeed Amjad