suno
jin ki hansi se is zamin par phul khilte hon
jinhen naghme pe itni dastaras ho
ki panchhi in ki lai par chahchahate hon
unhen to is tarah chup-chap ho jaana nahin sajta
suno
sari zamin gambhir chup oDhe hue sakit khaDi hai
tum utni hi karo ek bar hans do
zamin ki munjamid sanson mein
phir se zindagi chalne lagegi
pahle din se lohe ke jute pahnao
yahi hua aur hota aaya
sab ne dekha
surKH sajile chehron wali
aur gadrae jismon wali doshizaen
aangan ki diwar pakaD kar chal pati thin
soch rahi hun
sadiyan kaise itna pichhe lauT aai hain
chin ki sarhad kaise mere ghar aangan tak aa pahunchi hai
lohe ke juton mein jakDe mere panw
aangan ki dahliz alang ke
apni duniya tak jaane se inkari hain
Nazm
Suno
Mansoora Ahmad