so rahi thin naddiyan aur jhuk gae the barg-o-bar
bujh gaya tha KHak ki nabzon mein hasti ka sharar
chandni maddham si thi dariya ki lahren thin KHamosh
be-KHudi ki bazm mein TuTe paDe the saz-e-hosh
bhini bhini bu-e-gul raqs-e-hawa kuchh bhi na tha
sehn-e-gulshan mein udasi ke siwa kuchh bhi na tha
ek hijab-e-tiragi tha dida-e-bedar par
kuchh dhuan sa chha raha tha husn ke anwar par
is dhuen mein ruh ki tabindagi khote hue
main ne dekha nau-e-insani ko gum hote hue
Nazm
Sukut
Jauhar Nizami