bahut der ho gai
yun jagte jagte
aisa lagta hai jaise buDha ho gaya hun
ya hum wo hain jinhen buDha hi jana gaya
hath panw bhi jawab de rahen hain
Thik se dikhai bhi nahin de raha
aankhen jaise dhundhiya gain hon
shayad
aansu hain
palkon ki dahliz bhi par nahin kar pa rahen
ab to jaane do
kuchh der ke liye so jaane do
jaane yun ki abhi kahin se
wo ek farishta mere taaqub mein aa nikle
thoDi si nind puri kar lun
phir us ke sath bhi jaana hai
Nazm
Sota hun
Zeef Zia