sirf ghair-aham shaer
yaad rakhte hain
bachpan ki ghair-zaruri aur safed phulon wali tam-chini ki plate
jis mein roTi milti hai
sirf ghair-aham shaer
be-sharmi se likh dete hain
apni nazmon mein
apni mahbuba ka nam
sirf ghair-aham shaer
yaad rakhte hain
bad-tamizi se talashi liya hua ek kamra
bagh mein khaDi hui ek laDki ki taswir
jo phir kabhi nahin mili
Nazm
Sirf ghair-aham shaer
Afzal Ahmad Syed