tumhaara shahr kaisa hai
wo suraj jo tumhaare pas aa kar jagmagata hai
wo kaisa hai
wo chanda jo tumhaari sej par tare sajata hai
wo kaisa hai
wo rasta jo tumhaare ghar ko jata hai
wo kaisa hai
tumhaara shahr kaisa hai
wo kirnen jo tera aangan sajati hain
wo kaisi hain
hawaen jo tujhe chhu kar satati hain
wo kaisi hain
wo raaten jo tujhe lori sunati hain
wo kaisi hain
tumhaara shahr kaisa hai
tumhaare shahr ki jitni fazaen jitne raste hain
wo kaise hain
tumhaare shahr mein jitne sajile log baste hain
wo kaise hain
tumhaare shahr ke sab phul aur tare jo hanste hain
wo kaise hain
tumhaara shahr kaisa hai
suna hai phul bhi is shahr mein murjhae rahte hain
sitare sahme rahte hain chaman kumhlae rahte hain
suna hai ab to chanda ki bhi lau tharrai rahti hai
suna hai ab to suraj ke lahu se bas aati hai
sabhi chehron ko nafrat aur Dar ne yun sajaya hai
ki sare shahr par jaise koi aaseb chhaya hai
Nazm
Sindh mein rahne wale dost ke nam ek KHat
Neelma Sarwar